Health Lifestyle

Jhatka Vs Halal ? Konsa Sahi Tareka Hai janiya

Written by hassanraza513

“Jhatka aur halal”
Janwaro ko katne ka wo tareeqa jisme ek hi jhatke me janwar ke sar ko alag kar diya jata hai, jhatka kehlata hai.
Janwaro ko katne ka woh tareeqa jisme tez dhardar churi se bina jhatke ke gardan Kati jati hai ‘halal’ ya zibah karna kehlata hai. yeh Islami tareeqa hai.

Halal ke sahi hone ki scientific wajah
“Tum farmao me nhi paata us me Jo meri tarf wahi hui kisi khane wale par koi khana haram magar yeh ke murdar ho ya rago ka bahta khoon ya bad janwar ka gosht vo najashat he ya be huqmi ka janwar jis ke zibah me gair khuda ka Nam pukara gya to jo nachar hua na yun ke aap khuwaish karein aur na yun ke zarurat se badhe to beshak Allah bakhshne wala maharban he”
– Qur’an – 6:145

Musalman ke liye to sirf Allah aur us ke Rasool ﷺ ka huqm hi kafi he lekin fir bhi Halal mans ki sahi hone ki wajh science ke zariye bhi samjhte hein –
Upar di gai ayat me rago me bahte hue khoon ki bat Kahi gai he. Islami kanoon ke mutabiq janwaro ko tez churi se gardan ki taraf se kata jata he (piche ki taraf se nhi kata jata). Jisme khoon ki nase cut jati hein. Lekin spinal cord na Katne ki wajh se Dimag ka connection nhi khatm hota aur Dil lagatar kam karta rahta he ji se janwar ke jism ki rago se Dil ko dharkano ke sath khoon ki bahut zyda mikdar dhire dhire bahar nikal jati he, khoon me maujood infection bhi bahar nikal jata he. Jab ki Jhatke me is ka thik ulta hota he. Jhatke me gardan ke upar se war kiya jata hai, jis se spinal cord cut jati he. Dil aur diamg ka connection to turant hi gale ke cut Jane se toot jata hai aur naso se khoon ka bahaw bahut kam hota hai. Khoon ke sath kai tarh ka infection bhi andar hi reh jata he. Jo khane wale ke liye kai bimariyo ki vajah sabit hota he.

Jhatke ka mans khne me testi nhi hota
Ek gair muslim se pucha gaya ki aap halal ki dukan se hi maans kyo lete hai, usne jwab diya ki jhatke ke maans me woh test nahi ata Jo halal me hota he. Pata ye chala ki jhatke ke ruke huye gande khoon ki wajah se test bhi accha nahi rehta.
Halal mans me jhatke ke mutabiq khoon ki mikdar bahut kam hoti hai jiski wajah se lambe waqt tak iski taazgi bhi bani rahti hai.
_________________________________
Spiritual Mission Whats-app broadcasts

Agr aap Hamari broadcast list mein join hona chahte hein to +919720582106 is number ko Spiritual Mission naam se save Karein aur apni detail send karein.
Detail
1. Your name
2. City name
3. State/Country name .

Join Spiritual Mission on
WhatsApp
https://chat.whatsapp.com/Ke2D5ZE7yX025mFRs8rFPw
YouTube
https://www.youtube.com/channel/UCKJPls5Wk0T3jDb-YwpYu3g
Facebook
https://www.facebook.com/spiritualmission786/
.

.
#spirit #thankful #faithful #prayers #Paigamber #islam #innerpeace #spiritualmission #halalmeat

Leave a Comment